रेडियो, टी वी या ब्लॉग पर विज्ञापन के लिए संपर्क कीजिये E Mail: anwarvoice@rediffmail.com

Create a website

मंगलवार, 12 जनवरी 2010

'Aman ki Aasha' ki ore ek qadam........

Bahot waqt beeta aaj phir.........

Padosi ki thaali se niwaala khaane ka jee karta hai,
Usko apni maa ki haath ki bani kheer chakhane ka jee karta hai,
Uski qameez se apni qameez badalne ka jee karta hai,
Chupke se uski razaai mein ghus kar kahani sunne ka jee karta hai,
Uske chheele ganne ki mithaas apne muh mein ghulaane ka jee karta hai,
Tez hawa ke jhonko se giri khatti ambiyaan chunne ki hod lagane ka jee karta hai,
Chuaa chuaai khelte khelte mitti mein ek dooje ke saath ludhakne ka jee karta hai,
Apni patangon ke pench ladaate maanjhon ko aapas mein lipat te dekhne ka jee karta hai,
Kabhi gussa jo ho jaaye, to kitaab lautaane ke bahane uss se baat karne ka jee karta hai,
Saalon pehle jo chhootaa tha haath........
Andheron mein wo haath zorr se thaam kar chalne ka jee karta hai.....,

Dekh li.......bahot Samajhdaaron ki samajhdaari..........

Aaj........Aaj phir se Bachchaa ban jaane ka jee karta hai.......!!!

2 टिप्पणियाँ:

amrendra "aks" ने कहा…

Saalon pehle jo chhootaa tha haath........
Andheron mein wo haath zorr se thaam kar chalne ka jee karta hai.....,


bahut hi sunder bhav .................lajwab ............

aania sweet ने कहा…

Thanks a lot.....! Ye to bass ek nanhi si koshish hai...! aapko pasand aayi, achcha laga...!

Related Posts with Thumbnails